Sunday, February 05, 2017

Facebook pe business Page kaise banaye jispe Already 5000 likes Ho .


Hi friends welcome to my site jiska name hai nicegyan.com, Es post me ham janege ki apni facebook profile ko page me  kaise  convert kre Or esko yese vi kah sakte hai ki Facebook pe  business Page kaise banaye jispe Already 5000 likes Ho . Friends Es post me mai apko apni profile ko page me convert karne ke bare me batauga jo ak new Page banana se bilkul alag hai agar apko ni pta facebook pe page kaise banate hai to maine eske bare me pahle hi post share kr chukka hu..Ese  Padhe -



Facebook pe  business Page kaise banaye jispe Already 5000 likes Ho .


Facebook profile ko facebook business page me convert krne se kya fayda hai.. Aur kyo kre.


Facebook pe kuch chijo ki limit hai jaise -
  • Facebook ka name chang karne ke bad 60 day ke pahle dubara name chang nahi kr sakte,
  • 1000 friend request agar pending me ho to aap aur friend request nahi send kr sakte yani panding request ko accept hone tk wait karna hoga,
  • Facebook ka user name ak bar hi chang kiya ja sakta hai.
  • Facebook pe aap 5000 se jyada friend ni bana sakte hai. Yani apke  friendlist ki last limit 5000 tk hai.


Ab problem ye aati hai ki agar aap koi badi hasti se belong karte ho ya aap koi businessman ho aur apne business ko bahut se logo tk pahuchana chahte ho to apko problem hogi kyoki aap 5000 se jyada friend bna ni sakte to yese samay me aap apne  facebook profile ko facebook page me chang kr skte ho page ki koi limit nahi hoti jitney friends chahe usko like kr sakte hai aur..

Facebbok profile ko page me chang karne ka ak aur fayda hai   aapne kabhi facebook pe business page banaya hai to apko pta hoga ki page pe ak ak like kitni muskil se milta hai  aur har fb user hamesa yahi janana chahta hai ki fb page  par like kaise badaye aur likes pane ke liye auto like site, fb auto like app or dj liker jaise hacking  app  ka sahara dhudhate hai jo achha ni hota hai mai apko yahi kahuga kuch vi kre original kre galat tarike se kiya gya kam sahi nahi hota hai so always do right..

yese me   kabhi kabhi to 5000 likes pane me salo lag jate hai lekin agar aap apne profile ko page me convert karte hai to apko etni mehnat nahi karni hogi agar aap apni profile ko page me convert karte ho to apke jitney friends hoge sabhi friends likes me badal jayege yani apke friendlist me 5000 friends hai to apke page pe 5000 like turrant aa jayega bina kise mehnat ke. To Mai apko suggest kruga ki apni facebook profile ko page me convert karne se pahle facebook par 5000 friend  banaye jisase jab aap apni profile ko page me convert kre to apko 5000 likes mil jaye



Facebook pe profile to business Page Banane se kya hoga


  •  Apke jitne friends hoge sab like me badal jayege. Yani apke 5000 friends hai to ak hi bar me apke page pe 5000 likes aa jayege..
  • Apke profile pe jo profile aur cover image hai wo apke page ka profile aur cover image me chang ho jayege (Jise aap bad me chang kar sakte ho).
  • Apka Jo name hoga wo page ka name ho jayega.. ( Esko vi aap kuch din bad chang kr sakte ho)
  • Apke sabhi friendo ko notification milega..
  • Apke profile pe jitane image hai sab image ka backup profile ko page me convert karne ke 14 day ke andar  apne page pe le sakte ho..
  • Aap chahe to page ko bad me delete vi kr sakte ho..
  • Aur sabse jaruri vat ap apni profile ko keval ak bar hi page me convert kr sakte ho mtlb ak profile se do page ni convert hoga dusra page convert karne se pahle apko apna pahla page delete krna hoga..
  • Apki profile me koi changing nahi hoga apki profile pahle ki hi tarah dikhegi bs ak new page create ho jayega..


Sabse jaruri bat Aagr aap  Apne profile ko mobile se page me convert kr rhe hai to  apko apne browser ka desktop mod open karna hoga Aur apke internet ki speed fast honi chahiye agar internet speed slow hai to paresani aa sakti hai..




How to set up profile to a business facebook page

1. Niche link pe click kre . ak page open hoga jisme apko apna paswprd dalne ko kha jayega. pasword dalkar next button pe click kr de...

    how to create a facebook page


    2. Ab jo page open hoga uspe  get started (Suru kre) button pe click kre .   

    how to set up a business facebook page


    3.  Ab next page open hoga jisme ap-

     1. Apne page ka name chang kr sakte hai,

    2. Yha apne friendo ko select krna hai jinse page like karwana chahte hai. 

    3.  apne profile pe jitna image hai sabko page pe backup le sakte hai.

    Agar aap chahe to ye sab page banane ke bad 14 day ke andar kabhi vi kr sakte hai.. to abhi esko rahne de aure  Continue (Jari Rakhe ) Pe Click kr de. Bas ab apki profile page me convert ho chuki hai, Ab bs apko apne sabhi frindo ko autimatick apna page like karwana hai.. 

    click to cantinue screenshoot

    4.  Continue Pe Click Krne ke bad Ab apka page ready ho chuka hai aur aap apne page pe aa chuke hai but abhi apke page pe ak vi like ni hoga but don't worry. Aap apne sabhi friends ko page like me 14 day ke andar kabhi vi badal sakte hai.

    friends ko like me badalne ke liye es step  ko follwo kre..



    Profile ko page me convert karne ke bad Friendo ko like me kaise badale..


    1. Apna page open kre jisme apko ak extra option add huwa milega jiska name hai Profile to Page tool (ye option 14 day tk hi rahega)  Espe click kre.. 

    how to make a facebook business page  how to create page on facebook








    Ab kuch es tarah ka page open hoga jaise upar image me dekh rhe hai
    .

    1 परिचय - Yha se aap apne page ka name .mobile number chang karna ho to chang kr sakte ho  

    2. मित्र - Espe click kr ke aap apne friendo se page like krwa sakte hai ..

    Like kaise krwaye 

    1. मित्र - pe click kre.
    2. सभी मित्र 

    3. सभी का चयन करे aur continue  pe click kr de bas thoda wait kre esme thoda time lagta hai agar apki net speed achhi hai to jyada time nahi lagega...

    Agar ak bar me sabhi friends like me nahi badle to aap fir se try kre ho sakta hai apke internet speed slow ho aur ak bar me 1000 oy 1500 frienda hi like ho paye to jitne friend apke friend list me hai jab tk utne like apke page pe ni aa jata tb tk ap esko dubara kre.. 

    Image ko follwo kre - 
    how to set up a business facebook page







    maine es post me puri topick cover karne ka paryas kiya hai aur Mughe puri ummid hai ki apko ye jankari acchhi lagi hogi..

     profile to page me convert karne me koi vi paresani atti hai to sidha comment me apna saval puchiye mai jald se jald apke saval comment ka reply karne ka paryas kruga..


    Thanku so much friends meri es post ko padhne ke liye.. Meri apse request hai  ki meri new post ka notification apne email se pane ke liye meri site ko subscribe kre, Aur es post ko apne friendo ke sath vi share kre jisse unko vi es bare me jankari ho sake.
      Thank U  so much For visit my site  keep visiting for mori knowledge