Friday, February 10, 2017

sabse fast browser jo deta hai 2g data pe 3g se vi jyada fast speed (puffin)

Hi Friends welcome to nicegyan.com. Es post me ham ak yese browser ke bare me bat krege jo 2g data pe vi achhi speed deta hai..  Waise agar mai ak professional browser ki bat kru to usme se mozilla ho gya chrome ho gya uc browser ho gya Opera ho gya sab apne aap me best browser hai.. But yha mai jis browser ke bare me bat kar rha hu o mughe es sabhi browsero achha lagta hai.

 us Browser ka name hai puffin..  ye ak yesa browser hai agar apke area me 3g network sahi se kam nahi karta ya aap 2g internet use karte ho to aap puffin browser se 2g data pe hi 3g  se vi achhi speed me browse kr sakte ho..  Ye kise vi  page ko bahut fast lod karta hai..



Puffin browser me achha kya hai..

Puffin browser pe hame vo sab setting milti hai jo ak professional browser me hoti h Aur Es browser ko banana me yesi proxy aur port  ka use kiya gya hai jo kise vi page ko fast lode hone me help krta hai..Aur sabse best fitcher hai Esme data saving  option hai jha se jakar aap ye set kar sakte ho ki jo page lod ho uske image ki quality kaise honi chahiye.. jitni imge ki quality low hogi utna hi data pack kam  use hota hai  agar image quality high hai to data jyada use hota hai.. but page lodding me jyada fark nahi padta..
Bahut se browser me ye problem hoti hai ki agar usme koi badi desktop version site open kro to browser hi band ho jata hai but puffin ko mai jyade din se use karta hu but kabhi yesi problem ni hui mai badi se badi website ko puffine se easily  access kr pata hu.

Agar aap blogger ho to ye apke liye sabse best browser sabit hoga esme aap template vi easily edit kar sakte ho jo ki mobile se edit  karna impossible mana jata hai..

Aur vi bahut se fitcher  hai puffin me  jo apko ese kuch din tk use karne pe pta chalega..

Puffin browser ko use karne me aane wali paresani..

Suru suru me ye sayad apko ye browser thoda  kathin lge   but agar aap esko ache se samgh jawoge to yakinan ye apka sabse best browser hoga..  

Puffine download kaise kre - 
Yu
Puffin downlod karne ke liye google play store me jaye aur puffin likh kr search kre aur downlod kr le..

Or niche link pe click karke vi downlod kar sakte ho..




 Friends ye browser mughe pasand hai so maine ske bare me aap bataya agar apko vi koi browser pasand hai jo  es browser ke mukable achha lagta ho  to comment me jaruru bataye..


Thanku so much friends meri es post ko padhne ke liye.. Meri apse request hai  ki meri new post ka notification apne email se pane ke liye meri site ko subscribe kre, Aur es post ko apne friendo ke sath vi share kre jisse unko vi es bare me jankari ho sake..

Thanku  so much For visit My site nicegyan.com..