Saturday, March 04, 2017

Gmail Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari With Screenshot

Hi friends welcome to nicegyan.com Dosto agar ap ak internet usar hai to phir apke pas ak khud ki email account to honi hi chahiye, Kyoki Ajkal internet pe har chij ki suwidha ho chuki hai jaise me agar ap ko online shopping, karni hai to ap internet se ghar baithe kar sakte hai, Wo vi asani se aur vi bahut kuch internet se kiya ja sakta hai jo mai apko aage batauga. Filhal pahale ham ye jan lete hai ki E-mail account kaise banaye.
Gmail Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari With Screenshot


Usme apko kewal ak form fill bharana hota hai Lekin jab ham internet pe new hote hai to kuch vi karne me thodi paresani hoti hai. Agar ap vi apna Email account banana chahte hai to apko meri es post me puri help mil sakti hai.To ayeye suruwat karne se pahle jan lete hai ki Email id kya hai..



Email Id Kya Hai.

E-mail id vi bilkul ak letter ki tarah hi use ki jati hai bas fark etna hota hai ki ye  Electronic roop me hota hai esliye ese ham E-mail “Electronic mail”  kahte hai  jiski help se ap apne email id se kise ke E-mail id pe massage  send kar sakte hai.Ab ap kahege ki eske liye Facbook ya whatsap hai na  to mai apko pahle vi bata chukka hu E-mail id se online marketing etc. kam kiya jata hai jo aaj ke jiwan me bahut hi mayne rakhta hai..

Gmail Aur Email Me kya Antar Hai.

Ye saval har us user ka hota hai jo log email ya gmail pe account creat karte hai wo ye sochte hai ki account kispe panaye gmail pe ya email pe aur enme kya antar hai.. To mai apko bata du ki Email ko hi Gmail kaha jata hai Gmail pe koye alag se account ni banaya jata hai Email ko Gmail tab kahte hai jab ap kise ko mail(Chitthi) send karte hai to recive karne wale addresh ko Gmail bolte hai..
E-mail account ak google ki sarvic hai par Ye jaruri nahi ki Email Account google pe hi banye ap chahe to aur site jaise Yahoo,Microsoft,Outlook,Bing,etc. pe vi bana sakte hai. Lekin ham yaha jo account  banayege wo google pe banega kyo ki google pe account banana ke aur vi kai sare fayde hai jo ham aage janege…
Ap mere sath mere step follow kare.

Email Account Kaise Banaye

1. 1.   Sabse pahle yaha click kare. Ab apke samne ak form open hoga jaise image me dikh raha hai. jise apko sahi-sahi puri jankari bharni hai.Kis colum me Kya bharna hai  step by step Niche padhe.
creat a gmail  account login page



2.    1. Jaise ki ap dekh rahe hai first me name aur samne wale me surename puch raha hai.Jisme apko pahle wale me apna name dale aur dusre me apna title.


Ex.- 
creat a gmail  account login page

2 . Ye sabse important hai eski puri jankari padhe.

Esko agar ap Example ki tarah samghe to ise ap ak mobail number man sakte hai jaise ak number ki do sim nahi hoti thik use tarah ak name ki do email id nahi ho sakti  Esme apko koye yesa username fill karna hai jise abhi tak kise ne na liya ho jo  bilkul es tarh dikhe varynicegyan@gmail.com

Example- Agar ap ka name Ram hai to ap es tarh apna email bana sakte hai sakte hai ram123@gmail.com agar name pahle se ragistar hai to ese me changing kar phir se try kar  sakte ho. Yahi apki Email id hogi jise yad vi rakhna jaruri hote hai.
  3.  Es wale colum me apko password fill karna hai jo bahut hi         soch samagh kar banaye jo khud yad karne me ashan ho aur    majbut vi. jab ap pasword taiyar kar lege to kuch es trah dikhega. 765!@#asu pasword me 8 ankh hona jaruri hota hai.
   
    4. Es me vi apko wahi pasword dubara bharna hai jo apne number 3 me bhara hai.
Gmail Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari With Screenshot


5.Esme apka jo date of birth hai use sahi sahi bharan hai.
Gmail Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari With Screenshot

6.Es wale colum me agar ap boy hai to male chose kare. Aur girl hai to Female.
Gmail Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari With Screenshot


7. Esme apna mobail number dale jo ap use karte hai

Gmail Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari With Screenshot

 8. Agar ap pahli bar email account bana rahe hai to ese empty               rahne de..
 9. Esme jo number dikh raha hai use niche box me bhare. Agar ap   chahe to es ko trick lagakar chod vi sakte hai jaise image kiya gya hai .
Gmail Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari With Screenshot
4.     
10. Esme apko ye chose karna hai agar ap india ke hai to india select kare.



11. Es wale me ap google ke Terms of service and privacy policy ko padh le to accha hoga jis se apko google account chalane me koye problam ane pe use samagh sake. padhne ke bad phir trick laga de.
12. Ab ak bar phir se check kar le ki sari jankari sahi-sahi bhari hai phir next step pe click kare.
2. Ab apke samne jo page open hoga usme  apko Mobile number bharkar varify karna hoga. jo box hai usme apna mobail number bharkar kise ak option ko chose kare agar ap Text message pe click karke continue karte hai to apke number pe ak message ayega aur agar Voice call chose karte hai to google ki tarf se ak phon ayega jisme apko apka varifycation code bataya jata hai.



  3, apko jo sms ya call se  number mila hai use yaha bhare aur continue kare.


   4. Ab apka google account ban chuka hai ab apke samne jo page open hoga wo kuch es tarah hoga ya phir kise aur tarike ka vi ho sakta hai. ab ap age continue kare aur  ab apka Email account taiyar ho chuka hai ab ap ese jaha chahe use kar sakte ho. 



Ab ap chahe to jakar google me sign in ho jaye aur apni facbook ki tarah ak profile banaye aur apne dosto se mile abhi sign in hone ke liye yaha click kare.




Dosto agar ap ne apna apna Email account bana liya  hai to mughe google pe apna dost jarur banaye. Mughse google pe milne ke liye yaha click kare. 

Agar apka koye saval ho to mughse comment me puche.
Thanks for visit my site nicegyan.com

No comments:

Post a Comment